BINDU BOLI BINDI SE
Ik baat toh batlao
Kyun mathae par baithi hon
Kyun sajti hain jao
Har pal rehti ho tum sath
Kyun na thi maikae main paas
Lagti ho jab itni sundar
Toh kyun na dikhi thi bachman main har dam
Kehtae hain tum ho bahut khaas
Deti ho umaron ka vardaan
Tere hone se hi toh
rehti hain patiyon me jaan
darti hun main har pal
ho na jaye mujhse bhul koi kab
tere na rehne se
ho na jaaye sansein kahi kam
par samajh na aaye mujhe ye aksar
kyun na rehti tu patiyon ke mathae par
meri saanson ki kya keemat
na hain tere mann ke andar
na na Bindu ,mat keh aisa
mujhe toh sab kehte hain gehna
main toh sirf matha chamkau
saanson ko vash main na kar pau
yeh toh sab hain duniya ke kisse
chaapae apni chodhne ko
naye naye hain
ritae ye bhunte
main toh hun bas ik tukda
dalti hun jaisa dalta hain kapda


Comments
Post a Comment