BINDU BOLI BINDI SE
Bindu boli bindi se Ik baat toh batlao Kyun mathae par baithi hon Kyun sajti hain jao Har pal rehti ho tum sath Kyun na thi maikae main paas Lagti ho jab itni sundar Toh kyun na dikhi thi bachman main har dam Kehtae hain tum ho bahut khaas Deti ho umaron ka vardaan Tere hone se hi toh rehti hain patiyon me jaan darti hun main har pal ho na jaye mujhse bhul koi kab tere na rehne se ho na jaaye sansein kahi kam par samajh na aaye mujhe ye aksar kyun na rehti tu patiyon ke mathae par meri saanson ki kya keemat na hain tere mann ke andar na na Bindu ,mat keh aisa mujhe toh sab kehte hain gehna main toh sirf matha chamkau saanson ko vash main na kar pau yeh toh sab hain duniya ke kisse chaapae apni chodhne ko naye naye hain ritae ye bhunte main toh hun bas ik tukda dalti hun jaisa dalta hain kapda
